Latest News

Sunday, 19 June 2016

Face Bleaching Benefits – Nikhare Chehre Ka Rang


Har koi khubsurat dikhna chahta hai. Aur jab bhi khubsurti ki baat ki jaye to sabke man mai daag rahit, gore chehre ki chavi aati hai. Lekin kuch logo ke chehre par pimples ke daag hote hai to kuch log apne chehre par moujud anchahe baalo se paresan rehte hai. Lekin inn sari pareshaniyo ke hone ke baad bhi sundar dikhne ka ek upay hai. Aap apni is chahat ko pura karne ke liye bleech ka sahara le sakte hai. Bleech ke jariye na keval anchahe baalo se chutkara milta hai, balki sondarya bhi badhta hai.
Aajkal ke dour mai sirf mahilaye hi nahi balki purush bhi iska istemal karne mai piche nahi hai. Bleach hamare chehre ke anchahe baalo ko chupane ka kaam karti hai. Bleach lagane se chehre ka rang turant gora dikhne lagta hai. Darahsal bleahing ke douran twacha ki mrit kosikaye khatam ho jati hai. Twacha mai nai kosikao ka janm hota hai. Chehre ki gandagi saaf hoti hai aur chehra damak uthta hai. To aaiye jane Face Bleaching Benefits aur use karne ka tarika.

Benefits of Bleaching – Jane Isse Hone Wale Fayde


Face Bleaching Benefits
Face Bleaching Benefits
  1. Bleaching karne se mrit kosikaye hat jati hai.
  2. Ise karne se sun tan kam hota hai.
  3. Twacha mai nikhar lane mai bhi yeh faydemand hai.
  4. Isse twacha ke rom chidra khulte hai.
  5. Bleach karne se chehre par glow dikhta hai.

Bleach Karne Se Pehle Dhyan Dene Wali Bate

  1. Bleach karne se pehle skin ko saaf karna jaruri hai. Iske liye aap cleanser ka istemal kar sakte hai.
  2. Face Bleach karne se pehle pre bleach cream se skin par massage karna jaruri hai. Isse skin safe rehti hai.
  3. Bleaching cream lagane se pehle iska istemal ka tarika jarur padhe. Har bleach face par lagakar rakhne ka wakt alag alag hota hai.
  4. Jis kisi ko bhi chehre par muhase hai wo bleach bilkul bhi naa karwaye. Isse muhase bhi badh sakte hai.
  5. Activator powder aur cream ka mixture banate samay sirf plastic ke chammach ka hi istemal kare.

Kyu Karna Chahiye Bleaching

Ham sabhi ko dhup mai jana padta hai aur pradushan ka bhi samna karna padta hai. Jis wajah se hamare chehre ka color kala dikhne lagta ha. Lekin bleaching ki madad se ham chehre ko accha dikha sakte hai. Bleaching karne se hamare face ko fairness to milti hi hai saath hi Sun Tanning se bhi suraksha milti hai. Bleach dhul aur mitti se hamari band twacha ke chhed ko kholne ka kam karti hai aur mrit koshikaon ko bhi hatati hai.

Sondarya visheshagyon kehate ki niyamit vyayam aur sehatmand bhojan se bhi hamari twacha nikharti hai. Lekin twacha ka sabse bada dushman suraj hota hai. Suraj ki dhup hamari twacha mai upasthit Melanin par prabhav padhta hai jisse who badhne lagti hai. Iske liye yeh bahut jaruri hota hai ki ham Melanin ko kam kar apni twacha ko nikhar sake.

Bleaching Se Jude Kuch Bhram aur Hakikat

  • Kuch logo ka kehana hai ki bleach rasayno se bani hoti hai jisse twacha ko hani pahuchti hai lekin aisa bilkul bhi nahi hai balki isse twacha ka complexion behtar hota hai aur sath hi yeh germs ko bhi marti hai.
  • Bleaching ki jarurat sirf jyada age ki mahilaon ko hi hoti hai lekin sahi baat to yeh hai ki aaj sabhi yuva varg ki ladkiyon aur mahilaon ko bhi dhul aur pradushan se bachne ke liye bleaching ki jarurat hoti hai.
  • Kuch log bolte hai ki bleach karne se hamare face ke baalo ki growth badh jati hai, jabki aisa karne se chehre ke baal chhip jate hai aur baalo ka rang chehre ke rang se mil jata hai. Aur jab bleaching ka asar khatam hota hai to baal kale dikhayi dene lagte hai jisse aisa pratit hota hai ki baalo ki growth badh gayi hai.

Yeh Bhi Jane

Bleaching ka effect 15-20 din tak rehta hai. Bleach karate samay bahut si mahilao ko jalan hone ki samasya hoti hai. Iska mukhya karan hota hai powder activator ka cream mai jyada matra mai hona. Isliye bleach cream ko pehle kohni ya hatheli ki ulti taraf try kar lena chahiye. Jalan ho to cream mai paste ki matra badha le.
  1. Bleaching ke bad twacha lal ho jati hai.
  2. Bleach mai chemical hota hai jo twacha ko nuksan pahuchata hai.
  3. Rukhi twacha walo ko herbal bleach ki jagah oxy bleach karna chahiye.
  4. Kabhi bhi bleach ka istemal aankho ke niche ke dark circles ko khatam karne ke liye nahi karna chahiye.

No comments:

Post a Comment

Recent Post