Latest News

Saturday, 18 June 2016

Skin Care Tips in Hindi – Inn Tariko Se Paye Swasth Twacha


Saaf aur damakti twacha har kisi ki chahat hoti hai. Chahe fir wo stri ho ya purush. Kai logo ki twacha itni acchi hoti hai ki dekhne wale bhi hairan ho jate hai, unhe lagta hai ki jarur aesi twacha unhe virasat mai mili hogi. Par aesa bilkul bhi nahi hai har koi thodi dekhbal se swasth aur chamakdar twacha paa sakta hai. Lekin sirf bahari utpado ke istemal se aap swasth twacha nahi paa sakte. Iske liye aapko bhitar se swasth hona bhi jaruri hai. Shayad aapne suna hoga ki chehra hi aapke swasth ka aaina hai. Yane ki agar aap andar se swath honge, tabhi aapke chehre par chamak aayegi.
Ye sari bate sunkar aapko lagega, ki jarur hum aapko mehnge utpado ka istemal karne ka kahenge. Lekin nahi aesa bilkul bhi nahi hai. Hum aapko aasani se ghar par milne wali chizo ke bare me hi batayenge. Natural chizo ke istemal ka yeh fayda hota hai ki inme kisi tarah ke hanikarak chemicals nahi hote hai. Jisse ki side effect hone ka khatra nahi hota hai. To aaiye jante hai Skin Care Tips in Hindi.

Janiye Twacha Ke Dekhbal Ke Tarike

Skin Care Tips in Hindi

Apne Twacha Ke Anurup Kare Dekhbal

Kisi bhi twacha ke upchar se pehle uski prakrati ko jaana bahut jaruri hai.  Agar aapki twacha teliya hai aur aap uski dekhbal rukhi twacha walo ki tarah kar rahe hai to aapko kisi bhi tarah ka fayda nahi hoga. Haan lekin iske viprit aapko isse nuksan jarur ho sakta hai. Isliye yeh behad jaruri hai ki aap apne skin type ko pehchane. Agar hum aayurved ki mane to uske anusar tin tarah ki twacha hoti hai. Vat Twacha, Pitta Twacha aur rukhi twacha.
Agar aapke sharir mai vat yane ki vayu ki matra adhik hai to iske karan twacha rukhi ho jati hai, yaha tak ki dag-dhabbe bhi isi ke karan hote hai. Tanav lene se bhi sharir mai vat ki matra badhti hai, isliye jitna ho sakte tanav se dur rehne ki kosis kare.

Sukhe Meve(Dry Fruits) Ka Kare Sevan

Agar hame damakti twacha pana hai, to iske liye hame sehatmand hona bahut jaruri hai.  Aur sehatmand hum tabhi hote hai, jab hum poshtik aahar lete hai. Iske liye hame sukhe mevo ka sevan karna chahiye, Skin ko chamkdar banane ke alawa yeh hame kai tarah ki bimariyo se bhi dur rakhte hai. Yeh hamare sharir se vishakt padhart ko nikalne ki kosis karte hai. Khane mai mojud fat aapke sharir ko asantulit kar dete hai. Isse santulit karne mai dry fruits ka bahut yogdan hota hai. Isme healthy fat, fiber aur omega -3 hota hai. Jisse ki iske sevan se pachan kriya majbut hoti hai. To fir intejaar kis bat ka aaj se hi badam, kaju, kishmish ko apne aahar mai jarur shamil kare.

Khub Pani Pina Bhi Faydemand

Aapne hamesha suna hoga ki hamare sharir ka 70% hissa pani se bana hua hai. Yane ki hame hamesha hydrate rehne ki jarurat hai, Isliye hame apne sharir mai pani ki bilkul bhi kami nahi hone dena hai. Iske liya aap chay ka bhi sahara le sakte hai. Samanya chay ki tulna mai aap aushdhiya chay ka sevan karenge to aur bhi faydemand hoga. Dophar khane ke bad yadi aap nimbu(Lemon)aur adarak ki chay pite hai to khana bhi pachega aur twacha mai nikhar bhi aayega.

Hari Sabjiyo Ka Sevan

Agar aap masahari khana khate hai, to ise chod de. Yeh aapke liye thoda muskil hai, lekin dhire dhire karke aap shakahari ban sakte hai. Mashahari bhojan kai tarah ki samsaya ko janam de sakta hai. Isliye aapko sakahar apnana chahiye, Isliye aesi sabjiyo ka sebvan kijiye jsime pani ki adhik matra ho, ye aasani se pach jati hai.
Gajar, khira, papita aadi mai pani adhik matra mai hota hai. Iske sevan se sharir ke vishakt padhart nikal jate hai. Aur twacha mai nikhar aata hai.

Rojana Vyayam Kare

Nirogi aur swasth kaya ke liye vyayam behad jaruri hai. Agar aap niyamit rup se vyayam karte hai to badlte mousam ka bhi aapki twacha par koi asar nahi padega. Chikitsak bhi yahi mante hai ki vyayam karne se mashpesiya aur sharir ke jod majbut hote hai, sath hi pasine ke vishakt padhart bhi bahar nikal jate hai. Isse rakt sanchar hota hai, pachan kriya majbut hoti hai, aur sabse badi bat sharir swasth rehta hai. To apni pasand ka vyayam jaise jogging, yoga, dancing aadi kijiye, aur apni twacha ko nikhariye.

Acchi Nind Le

Agar hum acchi nind nahi lete to iska sabse jyada asar hamari twacha pe hota hai. Yaha tak ki kai shodho mai yeh bat sabit bhi ho chuki hai ki kam sone wale logo ki twacha samay se pehle budhi ho jati hai. Isliye twacha ko swasth rakhne aur nikharne ke liye bharpur nind behad jaruri hai. Doctors ke hisab se har vyakti ko kam se kam 7 se 9 ghante ki nind jarur lena chahiye.

Tel Se Kare Malish

Twacha ko nikharne ke liye oil massage ka sahara lijiye, ye aapki twacha ko nikharta hai use kanti may banata hai. Tel se massage karne se twacha ka rukha pan dur hota hai. Hafte me kam se kam 2 bar oil se massage karna chahiye. Pure sharir mai massage karne se rakt sanchar bhi acche se hota hai. Isliye twacha ko nikharne aur sharir ko swasth rakhne ke liye tel se malish bahut jaruri hai.


No comments:

Post a Comment

Recent Post