Aajkal ke logo ka khanpan sahi nahi hai jiske chalte we motape ka shikar hote jaa rahe hai. Ise kam karne ke liye log yoga gym aur deting karte hai. Lekin iska parinaam har kisi ko nahi milta hai. Kyoki shuruwati samay mai to sab lagatar jate hai parantu dheere dheere aalas ke karan log ise chhod dete hai.
Waise to motapa aajkal aam samaya ho gai hai lekin iske karan kai bimariya aapko gher leti hai. Yadi aap apna vajan kam karna chahte hai to dhyaan rakhe ki aapke aahar mai fat jyada na ho kyuki khane mai fat hone ke karan wo acche se pach nahi pata aur sharir mai jam jata hai.
Yadi aap chahte hai ki aapke sharir par charbi na jame to aese mai nariyal tel ka sevan karna aapke liye kafi faydemand hoga. Kyuki nariyal tel mai aam tel ki tulna mai kam fat hota hai, tatha yeh aapke sharir par jamta nahi hai. Iske alawa iska bana hua khana khane mai swad se bharpur bhi hota hai aur sharir ko urja pradan karta hai. To aaiye jante hai Coconut Oil for Weight Loss in Hindi.
Coconut Oil for Weight Loss in Hindi: Vajan Kam Karne Ke Liye
Yadi aap jaldi se vajan kam karna chahte hai to niyamit tour par mungphali ke tel ke bajay nariyal tel se bani chijo ka sevan kare isse aapka 1 mahine mai 2 se 3 kilo tak vajan kam hota hai. Kyuki nariyal ke tel mai fat samanya matra mai hota hai jo sharir ke andar jate hi urja mai parivartit ho jata hai aur sharir ke andar ek sath jama nahi ho pata hai.
Kyoki jab bhi aap dinbhar fat yukt aahar ka sevan karte hai usse aapke sharir mai charbi badne lagti hai kintu nariyal tel ko garam karke khane se yeh sidhe liver ki koshikao mai jata hai aur khrab fat ke kitanuo ko khatam kar unhe urja mai parivatit kar deta hai jisse sharir mai charbi jama nahi hoti hai aur aapka vajan kam hone lagta hai.
vvvvvv728Janiye Kis Tarah Vajan Kam Karta Hai Nariyal Tel
Urja Ko Badane mai Sahayak
Nariyal ke tel mai bahut kam matra mai fatty acid hota hai jiske karan sharir ise bahut jaldi pacha leta hai. Iske atirikt isme triglycerides lauric acid upastith hota hai. Jo sharir ke liye bahut faydemand hone ke sath sharir ka metabolism bhi badata hai aur fatty acid ko urja mai parivartit kar deta hai.
Charbi Ko Ghatane mai Madad Kare
Motapa badne ka ek karan yeh bhi hota hai ki sharir ko jitni calorie chahiye hoti hai usse adhik calorie hum apne sharir ko dete hai. Kyonki hum puri calorie ko khrach nahi kar pate hai. Yadi aap iss atirikat calorie ko khtam karna chahte hai to nariyal tel aapke liye bahut accha hai. Iska lagatar sevan se pachan kriya bahut acche se ho jisse khana puri tarah hajam ho jata hai aur aap atirkat charbi ko dheere dheere kam kar dete hai.
Bhukh Niyantrit Karne mai Sahayak
Yadi aapko bahut jaldi bhukh lag jati hai ya har thodi der mai kuch na kuch khane ka man karta hai to nariyal tel mai moujud carbohydrate aur calorie aapko bhukh lagne se dur rakhti hai.
Yadi aap din mai bar bar khane ki aadat ko choudna chahte hai to kuch din tak aapke aahar mai 2 se 3 chamamch nariyal tel ka sevan karne se iss aadat se nijat pai ja sakti hai. Tatha bhukh bhi kam hoti hai.
Hormones Ka Santulan Banaye
Health Benefits of Coconut Oil kai hai. Sharir mai adhik motape hone ke karan hormones mai kai sare parivartan hone lagte hai jisse sharir mai harmones asantulit ho jate hai. Iska sevan karne se hormones santulit rehte hai.
Nariyal tel ko khane se khun mai sharkara ka star bhi santulit hota hai sath hi vajan ko bhi control kiya ja sakta hai. Yadi aap nariyal tel ka sevan karte hai to iske alawa nariyal tel ko garam pani ke sath milakar vayam karne se purv pine par vajan kam karne mai sahayata milti hai.
Anya Tarike Inhe Bhi Janiye
- Pair ka motapa kam karne ke liye nariyal tel ko halka sa garam karke pairo par malish karne se rakt sanchaar badhta hai aur pair par jami hui atirikat charbi hat jati hai.
- Nimbu mai vitamin C aur acid hota hai jo pachan mai sahayak hota hai. Nariyal ke tel ko gungune nimbu ke ras mai milakar pine se vajan kam hota hai. Ise subah aur sham ko rojana sevan kare.
- Green tea ka sevan vajan kam karne ke liye bahut acchi hoti hai. Sath hi metabolism mai bhi sahayak hoti hai. Yadi nariyal tel ke sath ise piya jaye to kaafi fayda milta hai.
- Yadi aap jaldi aur jadui tarike se vajan kam karna chahte hai to nariyal tel ke sath shahad, nimbu ka ras aur green tea ko milakar iska sevan kare. Aisa karne se aapko bahut jaldi parinaam milenge.
Upar aapne jana Coconut Oil for Weight Loss in Hindi. Yadi aap bhi vajan kam karna chahte hai to vyayam ke sath sath apne bhojan mai nariyal tel ka samavesh kare.
vvvvvv vvvvvv250
No comments:
Post a Comment